8 years ago#11
Joined:18-11-2016Reputation:0
Posts: 2870 Threads: 570
Points:71350Position:SMS SENIOR

Mera jab ankh khula toh 4:30 p.m. baj raha tha.Main jaldi se fresh huya aur nikal pada Sarita kaki ke ghar ki taraf.Unke ghar ke samne jakar dekha kaki ghar ke bahar bethi huyi thi.Main unke pas chala gaya.Kaki khadi ho gayi.

Sarita- Aap der kyu kar di ane mein.

Main- Woh main sou gaya tha isliye.Boliye aap kehna kya chahti thi.

Sarita- Pehle andar toh chaliye.

Main andaar ake bed par beth gaya.Kaki kitchen chali gayi aur chay leke ayi.Main chay ki ek sip lekar unke taraf dekhne laga.

Sarita- Kaal aap jab chale gaye main sirf aapke baton ke bareme sochne laga.Agar mere bete ko pata chala toh woh kya sochegi mere bareme.Raat bar main yehi sochta raha.Subah mere pati ka khat aya.Unhone likha tha ki woh hame shahar leke jayenhe hamare bete ki padai ke liye.

Main- Are yeh toh bahot achi baat hai.

Sarita- Haan aur main apne pati ke sath bhi reh payonga.

Main- Chaliye sab kuch acha huya.Kabh ja rahe hai aap logh.

Sarita- Shayed agle mahine.

Main- Agar kabhi aapko koi madat ki jarurat ho toh mujhe jarur bataiyega.Aab main chalta hoon.

Main ghar ki bahar chala aya.Kaki mujhe dekh rahi thi.Shayed yeh hamre akhri milan hai.Par aap logh toh jante honge duniya bahot choti hai.Kabhi na kabhi jarur mulakat hogi.

Main apne ghar chala aya.Main sidha Dadi ke kamre mein chala gaya.Dadi kuch kitab padh rahi thi.Main jakar unke ghod mein let gaya.

Dadi- Book ko side mein rakh kar mere sar ke baal sehlate huye....A gaya beta.10 din baad exam hai air tu ghum raha hai.

Main- Baas aab nahi ghumunga baas padai karunga.

Phir kafi der unke sath baat kia phir apne kamre mein chala aya.Padai karke khana khakar sou gaya.

Agle subah routine ke tarah Dadi ne mujhe jagaya.Phir main fresh huya aur kasrat karne laga.Phir padai karne beth gaya.10 din aise hi padai karte karte beet gaya.

Aaj pehla din tha exam ki.Kaal raat hi maine exam ke sab saman rakh liya tha bag mein.Aaj English ka exam hone wala tha jo mujhe bahot pasand tha.Main tyaar hokar niche chala gaya.Exam ke bajase Sahil ji nahi ayenge.Thodi den ke liye chutti mila tha.Main Dadi ke pas jakar beth gaya.

Dadi- Sare tyaari ho gaya beta.

Main- Ji Dadi.

Dadi- Dekho tension maat lena.Sara question samajh kar likhna.Agar koi question nahi ata toh dimag par jor maat dena.Thik hai.

Main- Ji Dadi.

Phir main khana kha liya.Khana khane ke baad main Dadi ki pair chu kar aashirvad liya.Main school ki taraf nikal pada.

School mein akar main aapne jagah jakar beth gaya.Mere sath sarpanch ka beta betha huya tha.Phir exam shuru huya aur main aapne exam dene laga.Main 1:30 h mein hi aapna paper likh dala.Phir ek baar dekha aur sir ke pas jama dekar ghar chala aya.Dadi ghar par hi thi.

Dadi- Kaisa raha aajka paper.

Main- Bahot acha.

Dadi- Thik hai ja fresh ho ja aur khana kha le.

Main apne kamre mein gaya aur fresh ho gaya.Khana khane ke baad thoda sa sou liya.Phir uthkar padne laga.

Aise hi karte karte sara exam khatam ho gaya.Last paper dekar main ghar ki taraf ja raha tha ki mujhe mandir dikhai dia.Socha mandir hokar ata hoon.

Main mandir chala gaya aur hath jodh kar khada ho gaya.Tabhi dusri taraf kuch aurte baat kar raha tha.

Aurat1- Suna tune Sarita apne pati ke sath shahar chala gaya.

Aurat2- Haan.Kya kismat hai na uska aur apne halat dekh.

Aurat1- Haan kismat toh achi hain.

Unke baat sunkar mujhe bahot bura laga last time mil nahi paya.Khair koi baat nahi kabhi na kabhi mulakat ho jayega.

Main ghar ki taraf nikal gaya.Ghar akar dekha ki Dadi sofe par bethi huyi thi.Main unke pas jakar beth gaya.

Dadi- Aaj toh tumhara exam khatam huya aab kya karoge.

Main- Kuch nahi.Bore honge aur kya.

Dadi- Main keh raha tha ki tum kahin ghum ayo.

Main- Nahi Dadi main aapko chodke nahi jayonga.

Dadi- Are mujhe chodkar kaha ja raha hain.Baas thodi din ke liye kahin jakar ghum firke ayo.

Main- Nahi Dadi aapka khyal kyon rakhega yaha.

Dadi- Mere khyal rakhne ke liye bahot sare logh hain yaha par.

Main- Par main kabhi akele kahin nahi gaya.

Dadi- Toh kya huya kabhi na kabhi toh jana padega na.

Main- Par kaha jaon.

Dadi- Mujhe kya pata.Tu ek kaam kar Shimla chala ja.

Main- Nahi nahi mujhe nahi jana akele kahin pe.

Dadi- Are beta sun toh.

Main- Nahi matlab nahi.

Dadi- Thik hai tu jo kehta hai wohi hoga.Ja fresh ho ja main khana lagati hoon.

Main apne kamre chala aya.Fresh hokar main niche chala gaya aur khana khane laga.Khana khane ke baad main apne kamre mein chala aya aur bore hone laga.Kya karoon.Phir socha painting karta hoon.Main paiting karne laga.Painting karte karte khane ka samay ho gaya aur main niche jakar khana kha liya.Phir main upar chala aya aur phir se painting karne laga.

8 years ago#12
Joined:18-11-2016Reputation:0
Posts: 2870 Threads: 570
Points:71350Position:SMS SENIOR

Main painting karte karte kabh ankh lagh gayi mujhe malum hi nahi pada.Jabh mera ankh khulta toh dekha raat ki 1 baj raha tha.Main uthkar niche chala gaya pani pine ke liye.Pani pine ke baad jabh main apne kamre ki taraf ja raha tha toh maine dekha Dadi ki kamre ki light jali huye the.

Main- Maan mein....Dadi ki kamre ke light abhi tak kyu jal raha hain.Dadi abhi tak soyi kyu nahi.

Main unki kamre ke bahar khada ho gaya.Kamre se rone ki awaaz a raha hain.Kya Dadi ro rahi hain.Main bechain ho utha kya baat hain jo Dadi ro rahi hain.Main Dadi ki door ko thoda push kia toh door khul gaya.Main andar dekha toh Dadi photo album dekh rahi thi aur ro rahi thi aur kuch bol rahi thi sisakte huye.

Dadi- Kyu chodke chale gaue tum dono.Pehle meri beta aur bahu mujhe chodkar chali gayi phir tum logh.Kya itna naraz ho jo ek baar bhi nahi yaad ata iss budi maa ki....Dadi ro padi.

Dadi ko yeh sab bolte huye rote dekha toh mere ankho se asu nikalna shuru ho gaya.Main khada hokar sorf rota raha.Mera himmat nahi huyi unke samne jakar unko sahara doon.Dadi rote rote sou gayi album ko gale lagakar.

Main ahista se unke samne gaya aur ahista se unke pas se album le liya aur Dadi ke upar chadar dal dia.Main apne kamre mein chala aya album lekar.
Main album lekar dekhne laga.Waha par maa pitaji dono bua ki tasveer tha.Main sara raat beth kar bas dekhta raha aur sochne laga ki kya baat hain jo bua yaha nahi ate.Dadi se jabh bhi puchta woh tal deti.Mujhe Bua ko bapas lana hoga.Tabhi Dadi khush hongi.Par woh logh rehte kahan mujhe toh kuch bhi malum nahi.Shayed munimji ko pata hoga.

Main Dadi ke kamre mein ayaya aur photo album unke pas rakh dia aur unke pair chukar kasam khayi ki main bua ko bapas lakar rahonga.Uske liye mujhe jo bhi karna pade main karonga.Main apne kamre mein aya aur sou gaya.

Agle subah Dadi ne mujhe uthaya.Main uthkar fresh huya aur niche chala gaya.Maine dekha Sahil ji hall mein betha huya tha.Main jakar hall mein beth gaya.

Sahil- Veer tum aab sab kuch sikh chuke ho toh mera kaam khatam.Aab tum khud kasrat kar sakte ho.Toh aaj hi mera last day hain.

Main- Aapke sath acha laga.Thanks meri madat karne ke liye.

Sahil- Koi baat nahi.Yeh toh mera kaam hain.Chalo ham kasrat karte hain.

Phir ham kasrat karne laga.Kasrat karne ke baad Sahil ji mujhe bye bolkar chala gaya.Main apne kamre mein akar naha dhokar niche nashta karne chala gaya.

Main- Dadi woh mujhe kahin ghumne jana hain.

Dadi- Are wah yeh toh achi baat hain.Kahan jana chahte ho.

Main- Woh ek dost ki gaon jana hain.

Dadi- Konsi dost ki baat kar rahe ho.

Main- Woh Dadi merw dost jabh ninth mein padta tha toh tabh dusre shahar chala gaya tha.Toh jate waqt usne bataya tha ki usse milne jaon..Jhoot.

Dadi- Konsi Shahar rehta hain.

Main- Woh shahar1 mein..Jhoot.

Dadi- Acha thik hain.Kabh jana chahte ho.

Main- Kal jana chahta hoon.

Dadi- Thik hain.

Main- Dadi main bahar ghum ke ata hoon.

Dadi- Thik hai.

Main ghumne ke bahane munimji ke pas chala gaya


Munimji hamare gaon ki kheton ki dekhbal karte hain.Hamari kafi buisness hain jo Dadi samalti hain.Dadi padi likhi thi toh unko buisness samalna ati thi.Main munimji se milne ke liye kheton ki ghar par chala gaya jaha par ek ghar aur gudam tha.Main unke kamre mein chala gaya.

Munimji- Are chote malik aap yaha.Aap ane ki kasht kyu ki hame bula liya hota.

Main- Mujhe aapse kuch kaam tha.

Munimji- Ji boliye.

Main- Mujhe janna hain ki bua kaha rehte hain.

Munimji mujhe aise dekh raha tha jaise maine uska kidney mang liya ho.

Main- Aisa kya dekh rahe hain.

Munimji- Ji aap kyu janna chahte hain.

Main- Aapko baas jitna pucha utna hi bataiye.

Munimji- Ji woh logh Shahar2 rehte hain.

Main- Yeh toh mujhe bhi malum hain ki woh logh Shahar2 mein rehte hain.Mujhe janna hain Shahar2 mein kaha.

Munimji- Ji batata hoon.

Phir munimji mujhe unka pata dia.

Main- Dadi ko yeh baat maat bataiyega ki maine bua ki bareme pucha tha.

Munimji- Ji chote malik.

Phir main wahaaha see ghar a gaya.Ghar akar khana khaya aur sochne laga kaise bua ki ghar jaon.Bua toh mujhe shayed ghar mein ghusne bhi nahi denge.Kya karoon.Phir maine socha tv dekh leta hoon shayed kuch idea aye.

Main bethkar tv dekhne laga.Hindi dubbed ek tamil movie dikha raha tha.Main uss movie ko dekh raha tha.Waha par dekha ki hero aapne bua ko manane ke liye naukar banke unke ghar jata hain.Mere dimag mein idea a gaya.Main bhi naukar banke unke ghar jaonga.Phir main plan banane laga.

Pehle Shahar2 jakar ek ghar kirai pe lunga.Phir naukar wale kapde lunga.Phir bua ke ghar jakar kaam manguga.Phir ahista ahista pata laga lunga akhir baat kya hain jo bua yaha nahi ate.Baise bhi 2 mahine baad result dega tabh tak yeh kaam bhi ho jayega.

Sochte sochte main sou gaya.Jabh utha toh dekha ki 4 p.m. baj raha tha.Main fresh hokar niche gaya toh Dadi betha huya tha aur unke hath mein kuch tha.Main jakar unke sath beth gaya.

Main- Dadi aapke hath mein kya hain.

Dadi- Tere liye kuch saman hain.

Main- Kya?

Dadi- Khud dekhle.

Phir main packet kholkar dekha ki ek mobile hai aur ghadi aur ek wallet hain.

Main- Wow Dadi mobile.Thanks.

Dadi- You are welcome.

Main- Yeh mobile ghadi toh thik hain par wallet kis liye.

Dadi- Aab tu bada ho gaya hain tujhe paise toh chahiye na.Paise rakhne ke liye wallet toh jarurat hota hain.Yeh rakh credit card jo bhi chahiye isse kharid lena.

Main- aap mujhe itna paise de rahe ho agar main bigad gaya toh.

Dadi- Muskurakar...Main janti hoon tujhe tu kabhi galat kaam kar hi nahi sakta.

Main- Thanks Dadi.

Dadi- Chal chal kuch kha le.Baise tera packing ho gaya kya.

Main- Nahi Dadi.Baas kar lunga.

Dadi- Tu jayega kaise bus se ya car se jayega.

Main- Nahi Dadi main bus se chala jayonga.

Dadi- Thik hain phir main ticket karva doon.

Main- Thik hain Dadi.

Phir main apne kamre mein chala aya aur packing karne laga.

8 years ago#13
Joined:18-11-2016Reputation:0
Posts: 2870 Threads: 570
Points:71350Position:SMS SENIOR

Main bag pack karne laga.Sirf travel bag mein do char pant shirt liya.Baise bhi Shahar2 jakar kapde lene the.Isliye jyada packing nahi kia.Munimji ko bolna tha kirai ki ghar ke liye.Main packing karke niche chala gaya Dadi ke kamre mein.Dadi kuch file dekh rahi thi.

Main- Dadi mere pas toh kisika number nahi hain toh main kaise kisiko phone karunga.

Dadi- Are haan main toh bhul hi gaya tha number dene ke liye.Chal thik hain aab lele.

Phir main Dadi ka munimji ka number aapne phone par save kar liya.

Dadi- Toh beta sara packing ho gaya ya phir main madat kar doon.

Main- Nahi Dadi packing ho gaya.

Dadi- Chal thik hain tu jaha ja raha hain waha ki address toh dena jara.

Iss bat pe main ghabra gaya.Aab kya bolun Dadi ko.Agar Dadi ko bol dia Shahar2 ja raha hoon toh Dadi kabhi jane nahi dega.Kuch soch Veer kuch soch.Tabhi mere dimag mein idea aya.

Main- Dadi main woh aapko nahi baata sakta kyu ki agar main aapko bol dia ki main kaha ja raha hoon toh aap jorur kisina kisiko mere piche laga dogi.

Dadi- Haskar...Aisa kuch nahi hain.Bas aise hi janna tha.

Main- Chodiye na yeh saab aur mere baat suniye time par aap khana khana aur dabaiya bhi thik hain.

Dadi- Thik hain baba.Chal khana kha le.

Main- Woh Dadi aapne ticket karva lia ya nahi.

Dadi- Haan karva liya.Kal subah munimji de jayega.

Main- Thik hain Dadi chaliye khana khate hain.

Phir main aur Dadi khana khane chala gaya.Aaj Dadi mujhe aapne hathon se khilaya shayed itne din bahar rahonga isliye.Phir main apne kamre mein chala gaya aur munimji ko call kia.

Munimji- Hello kyon.

Main- Ji main Veer.

Munimji- Konsa Veer.

Main- Kitne Veer ko jante hain munimji.

Munimji- Chote malik aap?

Main- Ji haan main.

Munimji- Maaf kijiyega main pehchana nahi.

Main- Koi baat nahi.Woh saab chodiye mujhe aapse kuch kaam tha.

Munimji- Ji boliye.

Main- Ji mujhe Shahar2 mein ek kirai ka ghar chahiye.

Munimji- Par aap toh Shahar1 ja rahe hain na.

Main- Nahi main Shahar2 ja raha hoon.

Munimji- Par malkin ne toh Shahar1 ke liye ticket lene ke liye kaha tha.

Main- Haan Dadi ko maine bataya ki main Shahar1 ja raha hoon.Aap Dadi ko maat kehna.

Munimji- Thik hai chote malik.Baise aapko kirai ki ghar ki kya jarurat hain waha par bhi toh aapka ghar hain Thakur sahab ka.

Main- Nahi main agar waha rahonga toh Dadi ko malum ho jayega.Aap kal tak kya ek kirai ka ghar le sakte hain kya.

Munimji- Jarur.Main sab intezan kar dunga.Main aapke liye Shahar2 janr ka bhi intezam kar dunga.

Main- Thik hain dhanyabad.Hamare baaten Dadi ko maat batana.

Munimji- Thik hain malik.

Phir munimji phone cut kar dia.Main chainse sou gaya.Agle din mujhe Shahar2 jana tha.Uff kitne din baad apne bhai behen aur bua se milunga.Bahot lamba safar hain par koi baat nahi.Main nind ke agosh mein kab chala gaya malum hi nahi pada.
8 years ago#14
Joined:18-11-2016Reputation:0
Posts: 2870 Threads: 570
Points:71350Position:SMS SENIOR

Subah ki 6 baje main uth gaya.Main fresh hokar terrace par chala gaya exercise karne ke liye.1 ghanta exercise karne ke baad main aapne room mein akar munimji ko call kia.

Munimji- Ji chote malik.

Main- Aapko jo kaam kaha tha woh apne kia ki nahi.

Munimji- Ji chote malik maine kar dia.Aab jabh Shahar2 pahonchenge waha par mera aadmi ayega apko lene woh aapko ghar tak lekar jayega.Uska number le lijiye.

Main- Thik hai number dijiye.

Phir main number le liya.

Main- Thanks aapne jo kuch bhi kia mere liye.

Munimji- Are chote malik yeh toh mera farz tha.

Phir main call cut karke nahane chala gaya.Phir aapne saman ke sath niche chala aya nashta karne ke liye.
Dadi niche hi bethi thi.Main jakar unke pas beth gaya.

Dadi- A gaya mera beta chal khana kha le.

Main khana kha raha tha aur Dadi ke sath baat kar raha tha.Khana khane ke baad hum hall mein beth gaya.

Dadi- Beta khana samay se khana aur pohunch kar hi phone karna.

Main- Ji Dadi.Aap bhi apna khyal rakhna auur mere liye pareshan maat hona.Aab main bada ho gaya hoon.

Dadi- Mere liye toh tu abhi mera pyara sa beta hain.

Phir idhar udhar ki bate kia aur samay ho gaya jane ki.Dadi mujhe chidne ke liye bus stand takk ayi.Woh mere gale lag kar rone laghi.Mere ankhon mein bhi asu a gayi.

Main- Dadi aap aisa karenge toh main ja nahi paonga.

Dadi- Tu pehli baar mujhse dhur ja raha hain.

Main- Main thodi na hamisha ke liye ja raha hoon.Aap jabbhi bolenge main a jayonga.

Dadi- Thik hai.

Phir main bus mein beth gaya.Dadi bus ke bahar se mujhe dekhne lagi.Phir bus chod dia.Main bhi chal pada apne jung ladne ke liye.Karib 3 ghanta laga Shahar1 pahochne ke liye.Shahar1 pahonchte hi main bus se utar gaya aur Shahar2 jane wale bus main jakar beth gaya.Shahar2 pahochne ke liye karib 2 ghante lag gaya.Bus se utar kar main munimji ke aadmi ko khojne laga.Kafi dhundne ke baad maine phone lagaya.Usne bataya ki woh ticket counter ke pas hain.Main ticket counter ke pas chala gaya.

Maine dekha koi 40 saal ka budha khada huya tha.Sar mein ek bhi bal nahi hain bas side mein kuch hain.Main unke pas chala gaya.

Main- Hello uncle.

Budha- Uncle uncle kisko bola.Mera naam Anil hain Anil kapoor.Abhi main jawan huya hoon.

Main sirf unko dekhta hi raha.Peth bahar nikla huya hain aur sar mein val nahi hain aur kehta hain Anil kapoor.Tabhi woh aapni bag se ek wig nikal kar sar mein pehna aur googles laga kar style marne laga.

Hum ghar ki andar chale aye.Anil ne light on kia.

Anil- Hey Dude.Waha par kitchen hain.Yeh hall hain aur ghar mein 3 bedroom hain aur 2 bathroom hain.Ok.

Anil jabh baat kar raha tha ek daam style markar.Jaise Dev anand karta hain.

Main- Ji uncle ok.

Anil- Tumhe kitni baar bolun ki main uncle nahi hoon abhi toh main jawan hoon.Just call me Anil.

Main mann mein sochne laga Budha behs kahi ka jawan banne chala.Kala behs kahi ka.

Main- Ok Anil.

Anil- Thats good.Khana khood bana loge ki maid chahiye.

Main- Nahi main khud bana lunga.

Anil- Ok.Chalo aram karo.Main aab chalta hoon.Agar kisi cheez ki jarurat pade toh phone kar dena aur kitchen mein sab kuch hain.Abhi ke liye main khana lekar ata hoon.

Phir Anil mujhe ghar pe chod kar bahar chala gaya.Main jakar ek bedroom mein ghus gaya.Achi tarha se sajha hua tha ghar.Chalo fresh ho jate hain.Main apne bag se kaode nikala aur towel nikal kar bathroom ghus gaya fresh hone.Fresh hokar main bed par gir gaya.Tabhi mujhe yaad aya.Oh shit Dadi ko phone karna toh bhul hi gayi.Main jaldi se Dadi ko call lagaya.

Dadi- Abhi waqt mila phone karne ka.

Main- Woh Dadi yaha par ake sab se milte milte der ho gaya..Jhoot.

Dadi- Thik hain.Khana khaya ki nahi.

Main- Ji abhi khayonga.

Dadi- Itna der ho gaya aur tu aab khana khayega.

Main- Are Dadi bus mein khaya tha na.

Dadi- Toh kya hua.Chal jaldi jakar kha le.

Main- Thik hain abhi kha leta hoon.Aapne khaya.

Dadi- Haan maine khana kha liya.Tere baat toh maine mana samay par khana khane ka tu toh mere baat nahi mana.

Main- Dadi sirf aaj hi aisa huya.Aghe se aisa nahi hoga.

Dadi- Thik hain.Ja khana kha le.

Phir Dadi ne call cut kia.Itne mein Anil khana lekar a gaya.Main beth gaya khane ke liye.

Main- aap nahi khayenge.

Anil- Nahi mujhe ghar jana hain.

Main- Acha aapke ghar mein kyon kyon hain.

Anil- Main khud aur kyon rahega.

Main- Aapne abhi tak shadi nahi ki.

Anil- Are abhi toh jawani aya hain.Kar lunga.Jaldi kya hain.

Budha kehta hai abhi jawani aya hain.Are jane wala hain jawani.

Main khana khane laga aur Anil chala gaya.Main khana khakar plate dho kar let gaya apne kamre mein.Kabh mujhe nind aya mujhe malum hi nahi pada.

Jabh mera ankh khula toh 8 p.m. baj raha tha.Main uth kar fresh ho gaya aur tyaar ho gaya bahar jane ke liye.Main ghar ko lock karke bahar chala aya.Colony se bahar akar maine ek taxi rukvaya.

Main- Ji mall chaliye.

Taxi- Konsa mall jayenge.

Main- Ji main yaha naya hoon toh mujhe malum nahi hain.Koi acha mall lekar chaliye.

Taxi- Thik hain.

Phir taxi mall ki taraf chal pada.Main bahar dekh raha tha.Raat mein toh yeh shahar aur bhi sundar lag raha hain.Charo taraf light jal raha tha.20 min mein hum mall chala aya.Main bill dekar mall ki andar chala gaya.Yeh shayed iss shahar ka sabse bada mall hain.Chalo khud ke liye kuch acha sa kapde leta hoon.Main jakar ek gents ke dukaan mein ghus gaya.Main aapne liye kapde dekhne laga.Ghumte ghumte mein dukaan ki corner mein ja pohoncha.Jaha par do premi shopping kar raha tha.Ladka masti kar raha tha aur ladki sharma raha tha.Main waha se chala aya aur 2 shirt 2 t-shirt aur 2 jeans liya.Bill pay karke bahar a gaya.

Aab mujhe naukar wala kapde lena tha jo yaha par nahi mil sakta.Main mall se bahar a gaya aurur aise hi raste pe chal raha tha jaha se aise kapde mil sake.Phir mujhe ek dukaan dikhai dia.Main waha par chala gaya.

Main- Kya yaha par pajama kurta mil sakta hain kya.

Dukandar- Haan.

Main- Ji mujhe 2 jodha pajama kurta chahiye.

Phir dukandar mujhe 2 jodha kapde dia.

Main- Ghamcha milega yaha par.

Dukandar- Haan.

Phir main bill pay karne ke liye apna credit card nikala.

Main- Ji credit card chalega.

Dukandar- Haan jorur.

Phir main bill pay karke bahar a gaya.Taxi wale ko colony ka naam batakar ghar chala aya.Aab khana kyon banayega.Phir maine dukan jakar khana le aya aur khakar Dadi ko call karke sou gaya.Kaal mission Bua ki ghar pe ghusna.Usse pehle mujhe bua ki ghar ke bareme janna padega.Main yeh saab sochte sochte sou gaya.
Anil- Chale.

Main- Ji chaliye.

Phir main unke piche piche chal pada.Ek ghadi ke andar beth gaya.Ghadi chal pada.Main ghadi ke andar beth kar bahar dekhne laga.Kitna bada bada makaan hain yaha par.Kitne car chal raha tha raste par.Karib 30 min baad hum ek ghar ke samne ruke.Main ghadi se utra.Dekhne mein se koi colony lag raha tha.Charo taraf ghar hi ghar tha.Aisa lag raha hain jaise koi gaon mein a gaya ho.Anil mujhe ghar ki taraf jane ka ishara kia.Main uske sath chal pada.Woh ghar ka darwaza khola aur hum andar chale gaye.
8 years ago#15
Joined:18-11-2016Reputation:0
Posts: 2870 Threads: 570
Points:71350Position:SMS SENIOR

Subah phone bajne ke awaaz ke sath mera nind khula.Maine call dekha toh Dadi ka call tha.Maine call pick kia.

Dadi- Abhi tak sou raha hain.

Main- Woh nind nahi khula.

Dadi- Chal koi baat nahi.Aab uth ja 7 baj raha hain.

Main- Kya 7 baj raha hain.

Dadi- Tu aisa chonk kyu raha hain.Jaise tujhe koi bahot jaruri kaam hain.

Main- Nahi aisa kuch nahi bas kabhi itna der tak soya nahi na isliye.

Dadi- Chal rakhta hoon.Aapna khyal rakhna.

Main- Aap bhi apna khyal rakhna.

Phir main call cut kar dia.Call cut karke naha dhokar tyaar ho gaya aur Anil ko phone kia ane ke liye.Main ghar ke bahar jakar nashta lekar aya.Kamal ki baat yeh tha ki mujhe bahar koi dikhai nahi dia.Kya yaha par sab late karke utte hain kya.Mujhe kya karna hain.Main ghar akar nashta kia.Main beth kar tv dekhne laga.Tabhi bell bajne laga.Main jakar gate khola.Mujhe laga Anil hoga.Lekin samne ek 30 saal ki aurat khadi thi.Dekhne mein kafi hot thi.Sari pehni huyi thi.

Main- Ji aap kyon hain.

Aurat- Ji main aapki padosi hoon.Aap yaha naya aye hain.

Main- Ji haan.

Aurat- Kya andar a sakta hoon.

Main- Ji aiye na.

Main darwaza se hath gaya aur uss aurat ghar mein ghus aya aur hall mein beth gaya.Main jakar unke samne beth gaya.

Aurat- Kafi acha ghar hain aapka.Kafi din tak yeh ghar band tha.Kya aapki kisi ka ghar hain yeh?

Main- Ji nahi main yeh ghar kirai par liya hoon.

Aurat- Ooo acha.Main Suman.Iss colony ka secretary ka biwi aur aap.

Main- Ji main Veer.

Suman- acha naam hain.

Main- Aapke bhi.

Suman- Baise aap koi kaam ke liye yaha par aye hain kya.Agar aapko bura laga hain ki main aapko yeh sawal puch raha hoon toh maaf kar dijiyega.

Main- Ji maafi mangne ki jarurat nahi hain.Mujhe bura nahi laga.Baise ek khas kaam ke liye aya hoon.

Suman- Acha thik hain aab main chalta hoon.Aapse milkar acha laga.

Main- Ji mujhe bhi.

Phir Suman chala gaya.Main Anil ka intezar karne laga.Karib 10 min baad Anil aya.

Main- Kabse aapka intezar kar raha tha.Itne der kyu laga.

Anil- Woh kya hain na subah subah mera ankh nahi khulta...Bahot style se bola.

Main- Woh chodo aapse ek kaam tha.

Anil- Haan bolo.

Main aapne kamre mein se uss address ko lekar aya jo munimji dia tha bua ki ghar ki pata.

Main- Iss address kaha ki hain woh pata karna tha.

Woh mere hath se address lekar dekhne laga.

Anil- Are yeh toh yaha ki janemane buisnessman ki ghar hain.

Main- Kya aap mujhe yaha lekar ja sakte hain.

Anil- Main kya tum taxi wale ko bhi inka naam bolo woh tumko unke ghar chodkar ayenge.

Main- Hmm.Chalo tum mujhe iss pate par le chalo.

Anil- Thik hain chalo.

Phir hum nikal pade bua ki ghar ki taraf.
8 years ago#16
Joined:18-11-2016Reputation:0
Posts: 2870 Threads: 570
Points:71350Position:SMS SENIOR

Main nikal pada apna naya chapter shuru karne ke liye.Karib 1 ghanta baad hum ek ghar ke pas ruke.Dekhne se bunglow type tha.Bahar se dekh kar hi lagta hain bahot bada aadmi ka ghar hain.Main bunglow ke gate ke pas chala gaya.Gate ke pas likha huya tha Divya nivaas.Mujhe samajhte der na laga ki bua ke naam se ghar ka naam rakha gaya.Uncle shayed bahot pyaar karte hain bua se.

Anil- Toh dude tumko tumhari manjil tak pohncha dia.Aab kya main ja sakta hoon.

Main- Haan haan tum ja sakte ho aur thanks.

Anil- You are welcome dude.

Phir Anil waha se chala jata hain.Aab mujhe ghar mein ghusne ke liye kuch idea sochna tha.Main jakar samne ek chay ki dukan mein chala gaya.

Main- Ek chay dena.

Dukandar mujhe ek chay dia.Main chay pine laga aur bunglow ke taraf dekh raha tha.Tabhi maine dekha bunglow ki watchman idhar a raha hain.Main muh fer liya kyu ki main nahi chahta jabh main andar jaon toh yeh mujhe nahi pehchane.

Watchman- Laxman ek chay dena.Dimag kaa dahi bana huya hain.

Laxman shayed dukandar ka naam tha.

Laxman- Chay dete huye...Kya huya dimag ka dahi kyu ho raha hain.

Watchman- Chay ka chuski lete huye....Are yaar kaam wali bai nahi mil raha hain.Madam ne mujhe kaha tha dhundne ke liye.

Laxman- Kyu woh maal kaha gaya jo pehle kaam karti thi.

Watchman- Saali ka shadi ho gaya.

Laxman- Kya maal thi.Dekhne se hi muh mein pani a jata tha.

Watchman- Woh sab chod tere pas kaam karne wali koi hain kya.

Laxman- Nahi re.Par main pata karta hoon.

Watchman- Thik hain bhai jara jaldi pata karna.Madam mera jaan kha raha hain.

Phir watchman chala jata hain.Mere hath mein mouka a gaya ghusne ke liye waha par.Lekin unko toh kaam wali bai chahiye mujhe kyu rakhega.Shayed khana banane waali.Mujhe toh khana nahi banana ata.Aab kya karoon.Lekin main iss mouka chod nahi sakta tha.Pehle ghus jaon bad mein sochunga.Main fatafat taxi liya aur ghar pahoncg gaya.Ghar akar ek baar Dadi se baat kia.Phir naukar wala kapde pehna aur kuch kapde ek bag mein le liya.Mobile ko silent karke bag mein rakh dia.Phir main nikal pada bua ki ghar ki taraf.

3 p.m. baje main bua ki ghar ke samne pahonch gaya.Maine bunglow ke kafi dhur taxi chod dia tha taki sab ko main garib lagon.Main uss ghar ki samne akar gate par knock kia.Watchman darwaza khola.

Watchman- Kya chahiye.

Main- Ji main gaon se aya hoon.Mere pas koi kaam nahi hain.Yaha koi kaam mil sakta hain kya.

Watchman- Nahi tumhare liye yaha par koi kaam nahi hain.

Main- Bhai main bahot garib hoon.Thoda madat kariye do din se kuch khaya nahi.

Watchman mujhe niche se upar tak dekha.Main dekhne mein gaon wala hi lag raha tha kyu ki main apna bal ko idhar udhar kar dia.Chehre pe thoda sa mayusi laya aur jaise bhukha hoon aise acting karne laga.Shayed Watchman ko mere upar taras a gaya.

Watchman- Khana bana sakte ho.

Main-Kuch bhi na sochkar....Haan main khana banana sab kuch kar sakta hoon.

Watchman- Chalo mere sath.

Main uske piche piche chal pada.Bunglow ke samne ek garden tha.Bunglow bahot bada dikh raha tha.Hum ghar ke andar a gaya.Andar ate hi dekha kitna alishan hain yeh ghar.Main bas charo taraf dekh rahaha tha.Jabh hall mein pohoncha toh dekha hall mein ek aurat bethi huyi thi.Yeh aur koi nahi bua thi.Bua ko mere samne dekhkar mujhe bahot khushi huyi.Dekhne mein bilkul photo mein jaisi lagti hain baise hi hain.Main unke samne jakar khada ho gaya.

Watchman- Madam yeh kaam ke liye aya hain.

Divya bua- Kuch deer mujhe dekha....Yeh lekin hame toh ek bai chahiye tha.

Watchman- Bai mil nahi raha hain madam aur yeh sab kuch janta hain.Kyu jante ho na.

Main- Sar ko haan mein hilate huye...Ji haan.

Divya bua- Acha tum jao main baat karta hoon.

Phir watchman waha se chala jata hain.Main unke samne khada raha.

Divya bua- Tum kaam ke talash mein yaha aye ho gaon se.

Kuch pal ke liye toh main shock ho gaya kahin mujhe pehchan toh nahi liya.

Main- Ji ji m main kaam ke liye aya hoon.

Divya bua- Are aise ghabra kyu rahe ho main toh aise hi puch raha hoon.Baise tumhare ghar mein kyon kyon hain.

Main- Ji mera iss duniya mein koi nahi hain.

Divya bua- Woh acha.Tumhe dekhkar aisa lagta hain tum mere aapne ho.Acha woh chodo tumhe khana banana atata hain.

Aab kya kahoon.Zindaghi mein kabhi chay nahi banaya khaba toh dhur ki baat hain.Lekin kaam toh karna hi padega.

Main- Haan madamji.

Divya bua- Acha thik hain.Kitne paise loge.

Main- Madamji mujhe sirf yaha rehne dijiye aur kuch nahi chahiye.

Divya bua- Thik hain.Chalo tumhe tumhara kamra dikhati hoon.Chalo mere sath.

Main unke piche piche chal pada.Wk choti se room mein chala aya.Dekhne se lagta hain servant quater.

Divya bua- Yeh hain tumhara kamra.Tum aram karo kuch der mein sab a jayega phir tumhe sab ke sath mulakat karvaongi.

Phir bua chale gaye.Main waha ki bed par beth gaya.Chadar bahot hi kharab thi.Zindaghi hamisha aish aur aram se gujara tha maine kabhi nahi socha tha aisa bhi rehne padega par Dadi ke liye toh karna padega.Main apna bag khulkar ghamcha nikala aur sath wale bathroom chala gaya.Fresh hokar ake let gaya.Kabh ankh lag gayi malum hi nahi pada.
8 years ago#17
Joined:18-11-2016Reputation:0
Posts: 2870 Threads: 570
Points:71350Position:SMS SENIOR

Main 4 p.m. baje uth gaya.Uthkar muh dhokar bahar hall mein a gaya.Hall mein ate hi dekha ki bua ke sath ek aadmi betha huya hain.Dekhne mein handsome hain.Shayed yeh uncle hain.Dusri taraf ek ladki bethi huyi thi.Dekhne mein bilkul pari ka tarah.Masoomiyat toh muh se chalakta hain.Woh shayed Aruna hogi.Mujhe hall mein dekhkar bua boli.

Divya bua- Uth gaye tum.Chalo tumhe mere parivaar se milati hoon.Yeh hain mere pati Aakash aur yeh hain meri beti Aruna.

Main dono uncle ko namste kia.Uncle bhi mere namaste ki jawab dia.

Divya bua- Aur Aakash iska naam hain....are maine toh tumhari naam bhi nahi pucha.Kya naam hain tumhara.

Aab konsi naam bolun.Asli ya koi nakli bolun.Nahi asli bolna thik nahi hoga.Agar bua ko shaq ho gaya toh.Main idhar udhar dekhne laga.Tabhi meri nazar Aruna ki books par padi jaha par ek naam likha huya tha.Maine patt se bol dia.

Main- Ji Sushil.

Aakash uncle- Naam batane ke liye itna der kyu kar dia.Kuch ghadbad toh nahi hain.

Mere toh pasine choot gaya.Kahi uncle pakad na le.

Main- Uncle nikalte nikalte reh gaya...Sahabji koi gadbad nahi hain.Main toh sirf kaam karne aya hoon.

Divya bua- Are aap chodiye yeh jasoosi.Sushil jao chay banake lao.

Main jahi raha tha ki mere nazar Aruna pe padi.Aruna mujhe dekhkar kuch soch rahi thi aur mujhe gaur se dekhne lagi.Pehle din hi sab aise shaq kyu karne laga.

Aruna- Mummy mujhe toh kuch gadbad lag raha hain.Yeh dekhne se naukar wala nahi lagta.

Divya bua- Tu chup kar.Hamisha jasoosi karta rehta hain.Sushil tum jaon.

Main- Woh madamji kitchen kis taraf hain.

Shayed yeh bolkar maine apne hi pair par kudhadi(axe) mar liya.

Aruna- Tum itne ache se kitchen kaise bol dia.Mujhe toh pata tha ki gaon ke logh rosoi ghar kehte hain.

Aab kya bolun.Kuch soch beta nahi toh pehla din hi geya kaam se.

Main- Woh madamji maine sathvi tak padai kia tha.Isliye thoda thoda ata hain.

Divya bua- Aab tera band kar.Sushil tum mere sath chalo.

Main waha se aise baga jaise mere piche aag lag gayi ho.Bua mujhe kitchen le ayi.

Divya bua- Yeh kitchen hain.Iss shell mein sab saman rakha hain aur unpar tag laga huya hain.Chalo chay banakar lao jaldi se.

Bua mujhe samjhakar chala gaya.Chalo bhai zindaghi mein pehli bar chay bana leta hoon.Agar acha nahi bana toh kaam toh geya samjho.Idea internet se nikalta hoon.Main apne pajama se mobile nikala toh dekha Dadi ne 3 bar phone kia tha.Abhi toh baat nahi kar sakta.Raat ko kar lunga.Main internet se chay banaya aur cup mein dalkar hall mein a gaya.Aab hall mein nayi member dikh raha tha.Main tray table par rakha.

Divya bua- Sushil yeh mera beta Aakshay.

Aakshay- Mummy yeh kyon hain.

Divya Bua- Yeh hamara naya naukar.

Phir woh logh chay pine laga.Main toh darr raha tha kaisa bana hoga.

Divya Bua- Mmmmm achi chay banaya.

Sab ne tarif kia sirf Aruna nahi kia.Shayed woh mujhe abhi bhi shaq kar rahi hain.

Divya Bua- Raat mein kyon kya khayega bolo.

Aakash uncle- Bua ki taraf shararati muskan ke sath.....Mujhe toh wohi khana hain jo aap khayenge.

Divya Bua- Sharmakar...Itna umar hua phir bhi aise baate karte hoo.

Aakash uncle- Abhi toh hum jawan hain.

Bua ankh dikhai toh uncle chup ho gaya.Maine dekha Aruna aur Aakshay has raha tha.

Divya Bua- Aruna aur Akshay tumko kya khana hain.

Aakshay- Mujhe toh alu ke parathe khani hain.

Aruna- Mujhe sirf roti aur palak ki sabzi.

Divya Bua- Sushil yeh sab bana lena aur hamare liye bhi roti banana aur sabzi.

Itna keh kar sab apne apne kamre mein chale gaye.Main toh sar par hath rakh kar kitchen a gaya.Chay bhi kitna mushkil se banaya tha aab yeh khana.Chalo phirse net baba ki madat leta hoon.Main mobile nikal kar khana banane laga.Aise hi 2 ghanta lag gaya.Khana banakar thak gaya.Main khana banakar aapne room mein a gaya.Zindaghi mein pehli bar itna mehnat kia.Mujhe bahot bhukh lagh raha tha.Kya karoon kitchen chala gaya.Kitchen mein jakar ek dibbi mein biscuit likha huya tha.Maine biscuit lekar khane laga.Kuch toh rahat mila.Jaise hi maine piche muda dekha bua khadi thi.Main khate khate ruk gaya.

Main- Woh madamji bhukh laga tha.

Divya Bua- Koi baat nahi.Tumhe bhukh laga tha toh bataya kyu nahi.Thik hain khao.

Phir bua khana bana ki nahi dekh kar chala gaya.Main bhi bahar ake hall mein beth gaya jamin par.Mujhe aab kuch toh pata karna padega.Chalo ghar ghumta hoon.Main ghar ghumne laga.Ghumte ghumte maine upar ek bada sa tasveer dekha jo ki Dadi ki thi.Woh ek bada sa tasveer tha.Matlab ki bua Dadi ko bahot pyaar karti hain.Par woh dikha nahi raha tha.Aab mujhe malum karna padega asli baat ko.Phir khane ka waqt ho gaya.Main sabko khana serve kia.Sab ne mere khane ki tarif kia iss bar bhi Aruna tarif nahi kia.Chalo koi baat nahi.Sabke khane ke baad.

Divya Bua- Sushil tum bhi khana kha lo.Phir plate sab dhokar sou jana.

Main- Ji.

Main khana khane laga kitchen mein jakar jamin par beth kar.Aur sochne laga kabhi jamin par bethke khana padega kabhi socha bhi nahi tha.Lekin Dadi ke liye toh karna hi padega.Maine khana khaya aur sara bartan dhoya.Yeh saab karte karte 11 baj gaya.Aaj main bahot thak gaya.Bistar par let te hi sou gaya.
8 years ago#18
Joined:18-11-2016Reputation:0
Posts: 2870 Threads: 570
Points:71350Position:SMS SENIOR

Subah ki 7 baje phone ki vibrate ke sath meri nind khula.Nind mein hi maine phone pick kia.

Main- Helloooooo.

Dadi- Tu toh ghumne jakar alsi ho gaya.

Main- Hadbadakar uth gaya...N n nahi Dadi aisi koi baat nahi.Woh dost ke sath masti karte karte der ho gaya tha sou ne mein.

Dadi- Acha koi baat nahi.Tu bata kaisi kaat raha hain tera.

Main- Acha chal raha hai.Aap batao aap ki tabiyat kaisi hai.

Dadi- Meri tabiyat toh thik hain.Maja kar raha hain ki nahi.

Main- Haan bahot.

Dadi- Chal phone rakhta hoon.

Main- Thik hai Dadi.Aapna khyal rakhna.

Phir main call cut kar dia.Phone ko silent karke bag mein rakh dia.Main ghamcha lekar bathroom ghus gaya.Naha dhokar bahar a gaya.Kapde pehenkar hall mein chala gaya.Lekin koi bhi dikh nahi raha.Pata nahi sab kaha hain.Tabhi mujhe yaad aya aaj toh Sunday hai.Shayed isliye sab abhi tak sou raha hai.Chalo aapna naukri pe lag jata hoon.

Main chay banane ke liye kitchen chala gaya.Chay bana hi raha tha ki bua a gayi.

Divya Bua- Sushil chay bana liya kya.

Main- Ji bana raha hoon.

Divya Bua- Chalo nashta bhi banalo.

Main- Ji kya banaun.

Divya Bua- Ek kaam karo khichdi bana do sab ke liye.

Main- Ji.

Phir bua chali gayi.Chalo naya recipe sikhne ko milega.Chalo bhai internet baba se madat leta hoon.Main chay dinning table par rakhkar chala gaya.Mobile lekar khichdi kaise banate hain woh dekhkar dimag par set karne laga.Kitchen jakar khichdi bana liya.Taste karke dekhta hoon.Ummmm mujhe toh pata hi nahi tha main itna acha khana banata hoon.Main khichdi lakar dinning table par rakh dia.Sab dinning table par wait kar raha tha.Par Aakshay kaha hain.Main khichdi rakhkar side mein khada ho gaya.

Aakash uncle- Yeh Aakshay abhi tak nahi utha kya.

Aruna- Nahi papa.Woh toh Sunday ke din der tak sou ta hai.

Divya Bua- Are soune de usko.Sirf Sunday ke din e toh sou ta hai.

Phir sab ne khichdi khane laga.

Aakash uncle- Waahhh bahot acha khichdi banaya.Tum toh ladkion se bhi acha khana banate ho.

Main- Mann mein...Mujhe bhi abhi pata chala.

Aruna- Papa aapko mummy ke hathon ka khana acha nahi lagta kya.

Aakash uncle- Hadbadakar....Maine aisa kabh bola.

Aruna- Aapne bola na ki ladkion se bhi acha khana bana leta hai.

Divya bua- Acha tumko mera hathon ka khana pasand nahi ata haan.

Aakash uncle- Are baba main toh aise hi tarif kar raha tha.Baise tumhari hathon ka khana khakar toh tumhari hath chumne ka dil karta hain.

Iss baat ko sunkar main bahot mushkil se hasi rok paya.Lekin Aruna has padi.

Phir aise hi woh logh khana khatam kia.

Divya Bua- Sushil tum bhi kha lo.Phir bazar bhi jana hain.

Main- Ji memsab.

Phir woh logh bahar garden chala gaya.Main bhi khana kha liya.Phir maine bua ke pas chala gaya.

Divya Bua- Suno yeh raha paise aur yeh raha list.

Main- Ji.

Main bag lekar nikal pada bazar lane.Main logon se puchte puchte bazar ja pohncha.Sab Bazar karte karte 1 ghanta lagh gaya.Main bazar lekar laut hi raha tha ki raste pe logh jama hokar khada tha.Main bhi jakar dekhna chaha.Jaise hi maine dekha mera halat kharab ho gaya.
8 years ago#19
Joined:18-11-2016Reputation:0
Posts: 2870 Threads: 570
Points:71350Position:SMS SENIOR

Maine dekha ek aadmi khoon se lathpath pada huya hai aur sab logh tamasha dekh rahe the.Main unke pas gaya aur sarko uthakar apne ghod mein rakha.Sar se bahot khoon nikal raha tha.

Main- Yaha par ek aadmi pada huya hai aur aap logh khade khade tamasha dekh raahe ho.

Aadmi1- Dekho hum kisi jamele mein nahi padna chahte.Police ke jamela mein padna nahi hame.

Aadmi2- Aur nahi toh kya.Kyon police ke chakkar katega.

Main- Agar yaha par aapke apne pade hote toh phir bhi aise hi bolte.Kamsekam ambulance toh bula lete.Main bhi kinhe keh raha hoon.

Main uthkar taxi rukvaya aur unko ghod mein uthakar taxi mein dala.Kasrat karne ka ek faida toh huya.Phir apna bazar ke bag uthakar taxi mein betha aur unke sar ko apne ghod mein rakhkar taxivala ko kaha.

Main- Bhaiya hospitall chalo.

Taxivala hospital ki taraf bad gaya.Karib 10 min mein hum hospital pahonch gaye.

Main- Bhaiya jara strecher le ana.

Taxivala andar chala gaya aur strecher le aya.Unko strecher mein dalkar andar le aya.Main receptionist ke pas chala gaya.

Main- Suniye jara doctor ko bulana inka accident huya hain.

Receptionist- Accident.Phir toh yeh police case hain.Pehle police ko bulaiye.

Main- Are aap pehle ilaz toh shuru karo.

Receptionist- Dekhiye yaha ki rule hai ki aise cases mein pehle polce ayega phir ilaz hoga.

Main- Ghusse se....Ajib aurat hai aap.Yaha inki jaan ja raha hai aapko rule ki padi huyi hai.Agar inko kuch ho gaya toh.

Receptionist- Woh hum nahi jante.Pehle police ayega phir ilaz hoga.

Tabhi doctor a jata hai.

Doctor- Kya ho raha hai yaha.

Main doctor ke pas chala gaya.

Main- dekhiye na sir inka accident huya hai aur kafi khoon nikal chuka hai.Maine inko kaha ki ilaz shuru karo lekin inko toh bas police ko bulana padi huyi hai.

Doctor aadmi ke pas jakar dekha.

Doctor- Are yeh toh Rishabh hai.Yaha ki bade buisnessman.Wardboy jaldi se inko O.T mein lekar chalo.

Phir woh logh inko O.T mein lekar gaye.Doctor mujhe bola.

Doctor- Dekho iska bahot khoon beh chuka hai toh khoon ka jarurat pad sakta hai.Tumhara blood group kya hai.

Main- Ji mujhe malun nahi.

Doctor- Nurse iska blood group check karo dekho ki O- hai ki nahi.

Main nurse ke sath ek kamre mein chala gaya.Woh mere hath se khoon nikala.Bahot darr raha thaha par kisika zindaghi ka sawal tha.Match bhi ho gaya.Phir ek bag khoon nikala woh logh.Phir main bahar O.T ke samne wait karne laga.Tabhi samne se ek aurat bhagti huyi a rahi thi.Unke piche ek ladki.

Jaise hi maine ladki ko dekha mera duniya tham gaya.Kya asman se pari utar aya kya.Haseen aur khoobsurat.Dekhne se hi lagta hai fursat se banaya gaya.Jabh woh mere samne a gayi toh main uska roop mein hi kho gaya.Uske behte asu dekhkar mera dil ro pada.Main uski pas jakar khada ho gaya aur meri muh se nikal gaya.

Main- Aap roye maat sab thik ho jayega.

Woh ladki meri taraf dekha aur dekhte hi uska asu ruk gaya.Meri ankho mein nami chaya huya tha.Woh mujhe kuch der dekha phir nazre jhuka li.Tabhi doctor bahar aya.

Aurat- Punitji abhi woh kaisa hai.

Doctor- Shakuntala ji Rishabh abhi thik hai.

Ladki- Papa thik toh hai na.

Punit(D)- Pari beta woh abhi thik hai.Par yeh sab huya kaise.

Shakuntala- Subah tehelne nikle the par uske baad pata nahi.

Pari- Hum mil sakte hai kya.

Punit(D)- Nahi abhi nahi.Kuch der mein cabin mein shift kar dega uske baad mil sakte ho.

Shakuntala- Thanks Punitji.

Punit(D)- Are thanks mujhe nahi iss ladke ko dijiye jisne Rishabh ko yaha laya aur khoon bhi dia.

Shakuntala- Beta tumhara bahot bahot dhanyabaad.

Main- Dhanyabaad ki koi jarurat nahi yeh toh mera farz tha.

Shakuntala- Phir bhi aaj kal kaha sab logh apna farz nibhata hai.

Punit(D)- Acha aab main chalta hoon.

Doctor waha se chala gaya.

Main- Acha aunty aab main chalta hoon.

Shakuntala- Are aise kaise.Tumhara naam kya hai.

Aab asli naam bolun ya phir nakli.Par unko nakli naam bolne ko dil nahi kia.

Main- Veer.

Shakuntala- Tum kaha rehte ho.

Maine unko colony wala address bola.

Shakuntala- Tum yaha par rehte ho.

Main- Nahi aunty main toh ghumne aya tha.

Shakuntala- Tumhara maa baap kaha hai.

Main- Ji mera maa pitaji iss duniya mein nahi hai.Sirf meri Dadi hai.

Shakuntala- Sorry beta.

Main- Koi baat nahi aunty.Aab main chalta hoon.

Shakuntala- Aise kaise unse milkar toh jao.

Main- Nahi aunty mujhe jaruri kaam hai.

Shakuntala- Phir tumhara number de jao.Unko agar baat karna hai toh.

Main- Thik hai aunty.

Shakuntala- Pari bata number lelo.

Pari- Ji maa.

Phir main unko namaste kehkar aur Pari ko ekbar dekh kar bahar a gaya.Dil toh nahi kar raha tha par ghar bhi jana tha.Patq nahi naukri rehega ki nahi.Dopeher ho gaya tha.Taxivala abhi tak bahar khada tha.Maine taxi karke ghar ki aurur chal pada.
8 years ago#20
Joined:18-11-2016Reputation:0
Posts: 2870 Threads: 570
Points:71350Position:SMS SENIOR

Main taxi karke bua ki ghar ke samne ake ruka.Main taxi se utarkar taxivala ko paise dia.Kuch jyada hi paise dia kyon ki uska bahot samay barbad hua tha.Phir main bazar ki bag lekar andar chala gaya.Kamal hai yeh watchman kahan geya.Main ghar ke andar akar dekha toh Bua, uncle, Aruna, Aakshay betha huya tha.Bua ko dekhkar aisa lagh raha hai jaise kisiko kha jayegi.Watchman side mein khada huya tha.Uska jaise sanp sukh gaya ho aisa dikh raha hai.Main bazar ke bag ko apne samne wale hisse par rakhkar khada ho gaya.Tabhi Akshay ka nazar mujhpar pada.

Aakshay- Mummy dekho woh a gaya.

Yeh sunkar bua meri or dekhne laga.Bua mujhe dekhkar kha jane wala nazar se mujhe dekhne laga.Phir bhadakkar mujhe bola.

Divya Bua- Kahan chale gaye the.Ghumna phirna ho gaya kya.Abhi bhi ane ka jarurat kya tha.Tumhari naukri gaya nikal jao abhi.

Main- Madam mere baat toh suniye.

Divya Bua- Mujhe kuch nahi sunna.Niklo meri ghar se.

Main- Madam pehle meri baat suniye phir aap jo kahenge woh main karunga.

Aakash uncle- Divya pehle uska baat toh sunn lo.

Divya Bua uncle ki taraf dekha phir bola.

Divya Bua- Kaho kya kehna chahte ho.

Main- Woh madam main bazae karke laut hi raha tha ki raste pe ek addmi accident hokar pada huya tha.Maine unko hospital pohnchaya.Phir jakar main aya.

Divya Bua- Aab jhoot toh maat bolo.

Main- Nahi madam main jhoot nahi bol raha yeh dekhiye.

Maine apna khoon se sana huya pajama dikhaya.Bua khoon dekhkar chonk gaya.Phir jakar bishwas kiya.

Aakash uncle- Tumne toh bahot acha kaam kia.Good.

Divya Bua- Haan bahot acha kaam kia.Aab woh aadmi kaisa hai.

Main- Ji aab thik hai.

Tabhi uncle ka phone baja uncle kisi se baat karke hame bola.

Aakash uncle- Are Divya suna Mr.Rishabh par kisine jaan leba hamla kia tha.Woh abhi hospital mein hai.Koi ladka jaan bachaya tha.Aabhi City Hospital mein admit hai.Kahin tumne toh nahi bachaya Sushil.

Are yaar yeh toh gadbad ho gaya.Aab kya bolun.Aab toh pas gaya.

Main- Nahi nahi sahabji maine jinko bachaya unko dusri hospital mein admit kia tha.

Aakash uncle- Chalo thik hai.Divya chalo hum unko mil ate hai.Woh meri buisness partner hai.

Divya Bua- Chaliye thik hai.Sushil tumhe bhuk lag raha hoga na.Jao waha par khana rakha huya hai kha lo.

Phir sabhi chale gaye aapne apne kamre mein.Bua aur Uncle bahar chala gaya.Maine rahat ki sans liya.Iss bar toh bach gaya.Maine khana kha liya phir bistar par let gaya.Let te hi mere ankhon ki samne Pari ka chehra a gaya.Main jaise uski yaadon mein kho gaya.Kabhi kisiko dekhkar mujhe aisa feel nahi huya.Uska sapna dekhte dekhte main sou gaya.

Pata nahi kaise kaam karte karte ek hafta beet gaya.Lekin abhi tak mujhe kuch samajh nahi aya bua ki narajgi ke bareme.Isi bich mujhe pata chala ki Kajol bua parivaar ke sath kahin ghumne gayi huyi thi.Main dopeher ke khana khakar abhi leta hi huya tha ki phone vibrate hone laga.Maine dekha koi nayi number se phone aya hua hai.Main call receive kia.

Main- Hello.

Dusri taraf se- Hello Veer.

Main- Ji.Aap kyon.

Dusri taraf se- Main Shakuntala.

Main- Hadbadakar uthkar beth gaya....Aunty aap.Kaise phone kia.

Shakuntala- Woh beta tumhe aaj invite karna tha aaj dinner ke liye.

Main- Dinner.Par kyu?

Shakuntala- Woh Pari ka papa chahte hai ki tumse mile.

Main- Ok aunty main ajaunga.

Shakuntala- Ok beta rakhti hoon.

Main- Ok aunty.

Phir maine phone cut kar diya.Haay Pari se milunga.Tabhi mujhe yaad aya are address toh liya hi nahi.Main pirse call kia.

Main- Hello aunty.

Pari- Surili awaaz...Ji main Pari.

Main- Woh Pari ji main sirf yeh kehne ke liye phone kia tha ki address toh liya hi nahi.

Pari- Koi baat nahi aab le lijiye.

Main- Ji boliye.

Phir maine address le liya.

Main- Pari ji uncle aab kaise hai.

Pari- Ji aab thik hai.

Main- Chalo aab rakhta hoon.

Phir maine call rakh dia.Haay aaj Pari se milunga.Na jane kyu mere pet mein gudgudi hone laga.Aab yaha se kaise niklu.Bua se kya kahunga.Tabhi meri dimag mein ek idea aya.Main bua ke kamre mein chala gaya.Bahar se darwaza khatkhatya.

Divya Bua- Kyon hai.

Main- Madamji main.

Divya Bua- Aao andar.

Main andar chala gaya.Bua dressing table par bethi huyi thi.

Divya Bua- Bolo kya kehna chathe ho.

Main- Woh madamji mujhe aaj raat tak ki chutti chahiye tha.

Bua mujhe dekhne laga.

Divya Bua- Kyu kis liye.

Main- Woh mera chachaji yaha aye huye hai.Woh toh naya hai na iss shahar mein iss liye mera madat manga hai.

Divya Bua- Thik hai.Kab tak ayoge.

Main- Yehi koi 11 baje ajaonga.

Divya Bua- Thik hai.Aab tum jao.

Mujhe toh bishwas nahi huya itna jaldi chutti mil gaya.Main bahar a gaya aur apne kamre mein jakar mobile liya aur kirai ki ghar ki chavi lekar colony ke taraf chal pada
  What's going on
   Active Moderators
  Online Users
All times are GMT +5.5. The time now is 2024-11-24 22:20:57
Log Out ?

Are you sure you want to log out?

Press No if youwant to continue work. Press Yes to logout current user.